Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 18, 2011

Adawat ke sholon me jab jalte the yaaron,

Adawat ke sholon me jab jalte the yaaron,
Khabar na thi wo bhi humpe marte the yaron.

Abki jo tanhaai hai wo pahle na hua karti thi,
Shabe-gham chaand taare to nikalte the yaaron.

Karte hain wo shiqayat teri kalam kyon khamosh hai
Koun batae tab lafz nahi jazbaat nikalte the yaaron.

Jab na raha kuch dil me to kyon aas lagaate ho,
Aise bhi kuch kalaam likhe ki log marte the yaaron.

Na rakhun shiqva kisi se na karun shiqayat magar,
Wo kyon-kar har baat me mera zikr karte the yaaron.

Tu kyon us lamhe ko dil se lagae baitha hai “shaad”
Wo to pahle hi ise,ek haseen bhul kahte the yaaron.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...