Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 18, 2011

Aik Aaghosh Ki Khushboo Hai

Aik Aaghosh Ki Khushboo Hai
Abhi Tann Mann Mein
Aik Ehsaas Ki Shiddat Hai
Mere Jeevan Mein

Yahan Aya Hun Mein Nya Nya
Abhi Koi B Nahi Aashna

Yeh Jo Log Hein Mere Samnay
Nahi In Mein Koi Bhi Ham-nawaa

Magar In Se Rishta Lahu Ka Hai
Na Rahe Gey Muj Se Kabhi Juda

Mein Kisi Wajood Ka Aks Hoon
Mein Kisi Hayaat Ka Ayina

Meri Zindagi Mein Hai Roshni
Mein Sitara Subha-e-umeed Ka
Mein Sitara Subha-e-umeed Ka

Meri Choti Choti Hein Khawaishein
Millain Apno Hi Ki Muhabbatein

Jo Hai Baat Dil Ki Bata Sakoon
Mein Sabhi Ko Apna Bana Sakoon

Sabhi Aik Hon Hai Yeh Arzoo
Sabhi Pyar Ki Karein Guftagu

Koi Door Hai Koi Paas Hai
Mujhe Sirf Pyar Ki Pyas Hai

Mein Ujaalun Sab Hi Ka Rasta
Mein Sitara Sunha-e-umeed Ka
Mein Sitara Subha-e-umeed Ka

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...