Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, August 19, 2011

Baithe Baithe yunhi achanak kahin main khone lagti hoon..

Baithe Baithe yunhi achanak kahin main khone lagti hoon..
Khud hi se khafa khafa si main hone lagti hon..
Sochti hoon jab bhi uske dard-o-ghum ka aalam..
Ho ke beikhtiyaar palkein main bhigone lagti hon..
Ek uska naam, uski yaad usi ka tassawur rehta hai aas paas..
Jab bhi ankehin kholti hon subho, Raat jab bhi main sone lagti hoon..
Woh ek baar Usne ne kaha tha, Main ab thak gya hoon..
Aaj bhi us lehje ki thakan karke mehsoos,bechain si main hone lagti hoon..
Duaon pe apni mujhe bharosa bouhat hai sadiyon se..
Ek yehi bharm dil mein liye,khwaab uske main sanjhone lagti hoon..
Ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai..
Dekh kar duniya ke haath mein pathar, khauf-zada si main hone lagti hon..
Dard chupata hai jab woh, dil se nahin faqt labon se muskurata hai jab wo..
Jaane kaun se ehsaas se main tadap jaati hoon,bebasi mein main rone lagti hoon..
Baithe baithe yunhi achanak kahin main khone lagti hoon..
Khud hi se khafa khafa si main hone lagti hoon..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...