Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 16, 2011

Jab labo par tera naam naa aaye

Zindagi me aisi koi sham na aaye
Jab labo par tera naam naa aaye
Ay jaan-e-wafa ye to mumkin nahi
Afsaana likhu aur tera naam na aaye
Hont khamosh rahte hai phir bhi
Har dua me tera hi naam aaye
Door na hona tu kabhi mujhse
Bas honto pe yahi fariyaad aaye
Gul-o-gulishta ki kya baat
Tere liye falak se tare tood laaye
Lu jab bhi saanse to ye hawaye bhi
Sang khushabu ke tere aane ka paigaam laaye
Ek tere aa jaane se ye mahfil kya
saray aalam hi ek noor se bhar jaaye


Jaane kya baat haai tujh me
Tere bina mujhe kanhi chain aata nahi
Jab se bandhi hai saanso ki door tujh se
tere siwa kuchh aur raas aata nahi
dhadkane  ab naa rahi meri
 jubaan per tere bin koi aur naam aata nahi
aankho me is kadar teri surat hai basi
aaina bhi mujhe ab bhata nahi
har shringaar hai mera adhura bin tere
kajra gazra bhi is dil ko  ab lubhata nahi
jindagi hai meri tu sanse hai basi  tujhme
tere siwa ab dil kuchh bhi chahta nahi
pass hota hai jab tu to saji rahti hai mahfil si
hamari khushiyo me ab to saraa aalam  bhi samata nahi


Ye samandar ki lahre aur sahil ke kinare
Pass bulate hai hume  bahan pasaare
Rait  ke gharaude banate hai hum aur 
Likhe ek-duje ka naam ungliyo ke sahare
Hai Neela samnadar  aur aasma neela
Dekho to kitne haseen lagte  hai ye nazare
Sham dhale door kanhi din-rain mile
Ye sindoori sham le aaye unhe pass  hamare
Aati jaati mauje  dil ko lubhaye humare
Beete lamho ki sari yaadein hai sath hamare

Tumhe hum kitna payar karte hai
mujh se jayda kabhi  tum mujhe jante the
Dil me aata hai aaj tujhko mai bhi bata du
Bin tere  hum jeete na  marte the
Aaj mai tumse  kuchh khafa-khafa hu
Hai tere manane ka intzar jo hum pahle bhi karte the
Fasle pahle to itne kabhi na the
Mai wahi hu jisse tum payar kiya karte the
Mana ki ye gam hai koi saugaat nahi
Zakham to pahle bhi is dil par laga karte the
Jee me aata hai aaj mai bhi tumhe tadpa du
Kabhi tum bhi mujhe bahut tadpaya karte the
Dard jo tumne mujhe diya wo mai tujhe lauta du
Mai tumhari hasil-e-armaan hu ye tujhko bata du
mere hum-naseen kabhi tum mujhe bataya karte the

Greeny Anjuna Beach

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...