Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 18, 2011

Ke tujh se juda hokar bhi,

Ke tujh se juda hokar bhi,
Jeene ki aadat si ho gayi.

Tum laut ke aaoge humse milne,
Roz dil ko behlane ki aadat si ho gayi.

Tere waade pe kiya bharosa hamne,
Shab bhar tera intezaar karne ki aadat si ho gayi.

Khushi mein bhi hum kya muskarate ke,
Teri judaai mein rone ki aadat si ho gayi.

Kaafile nikal gaye hamein chhod ke,
Ab to tanha safar ki aadat si ho gayi.

Har mod par mili gham ki parchhaiyaan,
Zindagi se samjhauta karne ki aadat si ho gayi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...