Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 6, 2011

Kharich Ho Hi Jate Is Mohabbat Mein Nazim

Youn Na Idhar Udhar Din Guzaray Hote
Chain Mil Jata Humein Jo Dil Se Kahilay Hote
Humein Kabhi Khud Se Itni Fursat Hi Na Mili Warnaa
Hum Bhi Jo Aa Jate Khailne Madaan Mein Tu Tum Humare Hote
Tujhe Agar Pata Chalta Meri Mohabbat Ka Dairaa
Chehre Par Tumhare Phir Aasaar Humare Hote
Ho Gaye Kuch Aise Alug Tujh Se Warnaa
Yeh Jo Khasaare Ho Rehe Hain Abb Faiday Hote
Tu Aik Bar Hi Sehi Meri Humayat Tu Karti
Phir Hum Na Kabhi Is Raah Pe Haare Hote
Guzar Hi Gai Apni Sari Umer Aise Warnaa
Zindagi Hum Tere Hi Darwaze Pe Haare Hote
Kharich Ho Hi Jate Is Mohabbat Mein Nazim
Dil Or Bhi Jitne Seenay Mein Mere Humare Hote
Youn Bekaar Se Nazar Aate Hain Sab Ko Hum Log Nazim
Aankhon Se Jo Koi Apni Lagata Tu Sitaare Hote.
                                ( Nazim Ali )


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...