Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, August 17, 2011

Main mar mita to wo samjha ye inteha the meri

Main mar mita to wo samjha ye inteha the meri
usay khabar hi na the,khaak kimiya …the meri

main chup howa to wo samjha k baat khatam howi
phir us k baad to awaz ja baja the meri

jo ta’ana zan tha meri poshish e dardida per
usi kay dosh pay rakhi howi qabah the meri

main us ko yaad karon bhi to yaad ata nahin
main us ko bhool gaya hon,yehi saza the meri

shikast day gaya apna gharoor hi us ko
wagarna us k muqabil baast kia the mer

kahin dimagh kahin dil kahin badan hi badan
har ik say dosti yaari juda juda the meri

koi bhi ko’ey muhabbat say phir nahin guzra
to shehar e ishq main kia akhri sada the meri

jo ghumand say sir ko uthay phirta hai
isi tarhan ki to makhlooq khaak e pa the meri

har aik shair na tha dr khor e qaseeda dost
aur us say tabai e rawan khob aashna the meri

MAIN US KO DAIKHTA REHTA THA HAIRATON SAY FARAZ
YE ZINDAGE SAY TAR’RUF KI IBTADA THE MERI

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...