Marti hoi zameen ko bachana parra mujhay…
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay…
Woh ker nahee’n raha tha meri baat ka yaqeen…
Phir youn hua k mar k dikhhana parra mujhay…
Bhoolay say meri simt koi daikhhta na tha…
Chehray pay aik zakhm lagaana parra mujhay…
Us ajnabi say haath milaanay k waastay…
Mehfil may sab say haath milana parra mujhay…
Yaadein thee dafan aisi k bad-az-farokht bhi…
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay…
Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar…
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay…
Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan…
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay…!!
No comments:
Post a Comment