Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 27, 2011

Mere Sathi !

Mere Sathi !
Meri Aankhain , Meri Sochain , Mera TanMan
Mera Sub Kuch Safer May Hay
Isi Din Say K Jub Hum Per
Judae Ka Samay Guzra


Suno JanaA. . . Suno JanAa !
Tumhay Tou YaaD Hi Hoga
Main Aisa Chahetaa Kub Tha Mager Phir Bhi
Tumhay JuB ChoRr Ker Jana Paraa Mujh Ko
TumHaray Gal Per Main Ny Jo ManZar Aakhri Dekha
Azeat Naak Manzar Tha
Tumhay Bhi Yaad Ho ShayaD
Bicharrtay Waqt Kay Suraj Ki Is Dheemi Tamazat Say
Tere Dil Per Jami Jub Barf Pighli Thi
Tou Phir Jazbat Kay Darya Main Ik SelaaB Aaya Tha
Koi GarDaab Aaya Tha


Suno JanAa !
Tou Phir Dekha K Selaab Ki Ik Moj
Teri Aankh K Sahil Say Takra Ker
Teri PalKoOn k Rastay Say Tere RukhSaar Per Aa Ker
Koi Gumnaam Manzil Dhondnay Lamby Safer May Thi
Mager Jana Meri Nazar May Thi


Suno JanaA !
Yaqee�n Jano
K Ab Bhi Raat Ko Akser
Tere AansOo Ki Lambi Musafat
YaaD Aey Tou
Mujhy BeChain Rakhti Hay
Mujhy Shub bher Jagati Hay
Mujhy Pagal Banati Hay�.!!!! 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...