Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, August 24, 2011

Mitti ke jitne ghar mai banata chala gaya,

Mitti ke jitne ghar mai banata chala gaya,
Ek shakhs khafa ho ke giraata chala gaya


Woh mujhse bohat dur dur bhaagta raha,
Jitna mai uske naaz uthaata chala gaya

Ek mere waaste hii usne dard rakhe the baaki,
To woh har ek ko hasaata chala gaya

Thi haath me taaqat magar dil nahi maana,
Uske siwaa mai subko haraata chala gaya

Dil me uss ki yaad ke jitne chiraagh the roshan,
Unko bhi woh sitamgar bhujaata chala gaya


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...