Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 20, 2011

Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya

Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya
Ab to yeh bhi yaad nahee hai farq tha kitna dono main
Us ki baatein yaad raheen aur us ka lehja bhool gaya
Pyasi dharti k hothon per mera naam nahee to kya
Main woh baadal ka tukda hoon jis ko dariya bhool gaya
duniya wale kuch bhi kahein per apni to majboori hai
Uski gali jab yaad aayi hai ghar ka rasta bhool gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...