Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 22, 2011

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mere Shaaney Pey Sar Udaasi Ka

Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikhaar Gaya
Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka

Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka

Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Meri Har Udaasi Ka

Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mere Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka

Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka

‘ASAD'Deeda-e-Puraab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...