Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 8, 2011

Wo Anjane Log

Kia Bataon Mein Tumhein Apne Bare Mein Nazim
Kuch Mujhe Kehna Nehin Aata
Or Kuch Mujhe Kehne Nehin Dete
Wo Anjane Log
Main Chala Hon Kab Se Manzil Ki Tarif
Magar Hon Raste Mein
Mera Hi Kyun youn Rasta Rok Lete Hain
Wo Anjane Log
Kia Chikhon Kia Chilaaon
Ya Phir Doob jao Gehar Sumander Mein
Kash Main Chor Pata
Par Kia Karon Chorne Bhi Tu Nehin Dete
Wo Anjane Log
Kitni Koshish Karta Hon Main Un Jesa Ban'ne Ki Nazim
Magar Kahan Tak Banon Main
Youn Mujhe Ban'nein Bhi Tu Nehin Dete
Wo Anjane Log
Meri Ragon Mein Durta Hai Abi Tak Wohi Rang Khoon Ka Laal
Magar Kia Karon, Kahan Tak Rok Paown Ga
Jo Muslsal Bana Rehe Hain Mere Khoon Ka Rang Safiad
Wo Anjane Log.
                                               ( Nazim Ali )


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...