Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 16, 2011

yeh sach nahi ki kisi aur ke liye humne tumhe chhoda hai,

yeh sach nahi ki kisi aur ke liye humne tumhe chhoda hai,
wajah kuch aur hi thi jis kaaran humne ye rishta toda hai,
tanhaayi to tumhare rehte bhi thi aur tumhare bina bhi hai,
tumhaare bina na kisi se dil joda tha na abhi tak joda hai,

wo lamha yaad ajata hai to dard se tadap uthta hai ye dil,
jab humne tumhe dekha tha kisi gair ki baahon me us din,
kabhi socha bhi hai tumne kya haal huwa hoga us pal hamara,
meri jaan hi meri jaan ki dushman ban gayi thi jis din,

aadat buri hai tumhari ki pehle khud hi chot pahuchati ho,
fir usi chot pe tum apni maasumiyat ki malham lagati ho,
jo baat zaraa si hai tumhaare liye wo mere liye nahi hai,
kyun meri mohabbat ko tum bachpan ka koi khel samajhti ho,

kehti ho ki mere yaadon me doobke raaton ko neend nahi aati,
tumhare baare me soch soch kar main ek pal so hi nahi paati,
khush ho tum apne sansar me fir ye pyaar ka dikhaawa kaisa,
kyun nahi kehti sach ki ab tumhe hamari yaad hi nahi aati,

tumpe bharosa kya karein hum ab to khud pe aetbaar raha nahi,
jise chaaha tha kabhi jaan se badhkar wo bhi ab apna nahi,
kehna to bada asaan hai ki tumne humein bewafa kyun kaha,
tumhaare beraham dil ke liye hamare dard ko samajhna asaan nahi.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...