Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, July 24, 2015

Tanhaa Tum Hi Tu Nehi

Dilke Sannaton Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi, 
Tanhayi Se Baatein Karne Wale Tanha Tum Hi Nahi, 

Is Ishq Ne Barbaad Kiya Hai Har Shakhs Ko, 
Is Ishq Mein Bikharne Wale Tanha Tum Hi Nahi, 

Kehne Ko To Faqt Ek Dil Hi Toota Hai, 
Apna Sab Kuch Lutane Wale Tanha Tum Hi Nahi, 

Hanste Hue Chehre Hai Yahan Sabke, 
Dard Yun Chhupane Wale Tanha Tum Hi Nahi, 

Shab-E-Tanhayi Ki Dastan Ek Si Hai Sabki, 
Andheron Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi, 

Aisa Lagta Hai Ek Saza Ho Zindagi Meri, 
Is Qaid Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi, 

Is Sheher Mein Aur Bhi Deewane Hai Sahil, 
Dar Dar Bhatakne Wale Tanha Tum Hi Nahi...


Wednesday, July 22, 2015

Tum Hi Tum Ho Mujh Mein

Wo Mujhe Pochta Hi Ni 
Main Kya Hon
Jab K Main Ni Hon 
Tum Hi Tum Ho Mujh Mein
(Nazim Ali)


Tu Jo Mila...

Aashiyaana mera 
saath tere hai na
Dhoondhte teri gali 
mujhko ghar mila
Aab-o-daana mera 
haath tere hai na
Dhoondte tera Khuda 
mujhko Rab mila
Tu ko mila lo ho gaya main qaabil
Tu jo mila to ho gaya sab haasil
Mushqil sahi aasaan hui manzil
Kyunki 
Tu.. Dhadkan.. 
Main Dil

Rooth jaana tera
Maan jaana mera
Dhoondhte teri hansi
Mil gayi meri khushi
Raah hoon main teri
Tu hai tu meri
Dhoondhte tere nishaan
Mill gayi khudi
Tu jo mila lo ho gaya main qaabil
Tu jo mila to ho gaya sab haasil haan
Mushqil sahi aasaan hui manzil
Kyunki 
Tu.. Dhadkan.. 
Main Dil
O...

Tu jo mila lo ho gaya main qaabil
Tu jo mila to ho gaya sab haasil.. haan!
Tu jo mila aasaan hui mushqil
Kyunki 
Tu Dhadkan.. 
Main Dil






Monday, July 20, 2015

Aj Bohttt Dino Ke Baad

آج بہت دنوں بعد سنی ہے بارش کی آواز
آج بہت دنوں بعد کسی منظر نئے رستہ روکا ہے
رم جھم کا ملبوس پہن کر یاد کسی کی آئی ہے
آج بہت دنوں باد اچانک آنکھ یوں ہی بھر آئی ہے
آنکھ اور منظر کی وسعت میں چاروں جانب بارش ہے
اور بارش میں دور کہیں ایک گھر ہے جس کی
ایک ایک اینٹ پر تیرے میرے خواب لکھے ہیں
اور اس گھر کو جانے والی کچھ گلیاں ہیں
جس میں ہم دونوں کے سائے تنہا تنہا بھیگ رہے ہیں
دروازے پر قفل پڑا ہے اور دریچے سونے ہیں
دیواروں پے جمی ہوئی خاک کی طرح چپ کر
موسم ہم کو دیکھ رہے ہیں
کتنے بادل ہم دونوں کی آنکھ سے اوجھل
برس برس کر گزر چکے ہیں
ایک کمی سی ایک نمی سی
چاروں جانب پھیل رہی ہے
کئی زمانے ایک ہی پل میں
باہم مل کر بھیگ رہے ہیں
اندر یادیں سُوکھ رہی ہیں
باہر منظر بھیگ رہے ہیں . . . !

Thursday, July 16, 2015

Tujh Se Pyar Hai Mujhe

Tujh Se Pyar Hai Mujhe 
Ye Janti Hoon Main
Tujh Se Pyar Hai Mujhe 
Ye Janti Hoon Main
Mohabbat Aik Mukadas Lafz Hai 
Ye Janti Hoon Main
Tera Naam Main Kese Loon 
Sharam Mujhe Aati Hai
Bass Dil Hi Main Naam Le kar 
Hasti Jati Hoon Main
Tera Mujhe Dekh Kar 
Muskarana Aaj Tak Yaad Hai
Woh Lamha Yaad Kar Ke 
Sochti Jati Hoon Main
Teri Batein Teri Hasi 
Tera Youn Dekhna
Bass Yonhi Soch Kar 
Kehin Kho Jati Hoon Main
Tera Naam Le Kar 
Tujhe Dekh Kar Khush Hona
Aese Pyar Kehte Hain 
Ye Janti Hoon Main
Tera Mera Milan Kabhi Na Hoga Shayad
Ye Soch Kar 
Gamgen Ho Jati Hoon Main
Mere Pass To Teri 
Tasveer Bhi Koi Nehin
Bas Tera Tasawar Saath Rekh Kar 
So Jati Hoon Main
Kaash Hum Dono 
Apni Mohabbat Ka Azhaar Kar Le
Ye Kabhi Nehi Hoon Skta 
Ye Janti Hoon Main


Wednesday, July 15, 2015

Saleeqe Se Jalao Mujh Ko

Roshani Meri
 Bohat Dor Tak Jaye Gi 
Shart Ye Hai K
 Saleeqe Se Jalao Mujh Ko

Waqt Guzar Jata Hai

Apnaa Tu Ye Soch Kar Waqt Guzar Jata Hai 
Kyun Koi Door Jane Ke Liye Kareeb Aata Hai 
Wo Jane Kese Mujhe Apne Dil Se Bhula Baitha 
Main Gar Bhoolna Chahon Tu Bhoola Bhi Yaad Aata Hai 
Tab Nikharti Hai Zindagi Ki Assli Saroot
Ashiq Jab Ap Ke Daaman Mein Bikhar Jata Hai
Tadap Tadap Kar Tujhe Taa Umer Yaad Karta Rahon
Kuch Or De Na Zakham Tu Bhar Jata Hai 
Ye Tu Main Khud Bhi Tujh Tawajoh Nehin Deta 
Mera Zehan Hai K Har Bar Udhar Jata Hai 
Beshaq Bahaar Sooni Sooni Si Lagti Hai 
Bulbul Ke Jane Se Kya Baagh Ujad Jata Hai 




Aaja Meri Bahon Mein Sanam

Teri Zulfo Ki Chhaow Mein 
Main Zindagi Guzar Don,
Aaja Meri Bahon Mein Sanam 
Tujhe Bepnah Pyar Don..!!

Duniya Ki Dhoop Tujh Ko Chhu Bhi Na Payegi,
Is Qadar Se Tujh Pe Do Jahan Main War Du…!!


Wednesday, July 8, 2015

Koi Khamosh Ho Giya Hai Kehin

Ajab ek shor sa barpa hai kahin,
Koi khaamosh ho gaya hai kahin.

Hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh,
Ab se pehle bhi ho chuka hai kahin.

Jo yahan se kahin na jaata tha,
Woh yahan se chala gaya hai kahin.

Tujh ko kya ho gaya ki cheezon ko,
Kahin rakhta hai, dhundhta hai kahin.

Tu mujhe dhoondh, main tujhe dhoondhun,
Koi hum mein se reh gaya hai kahin.

Isi kamre se ho ke koi widaa,
Isi kamre mein chhup gaya hai kahin . !!

Sehra pasnd

Sehra-pasand ho ke simtne laga hun main,
Andar se lag raha hai ki bantne laga hun main.

Kya phir kisi safar pe nikalna hai ab mujhe,
Deewaar-o darr se kyon lipatne laga hun main.?

Tuesday, July 7, 2015

Phir Wohi Raat

Phir Wohi Raat Wohi Dard Or Wohi Khamoshii
Itnaa Sanataa Hai K Kaan Phate Jate Hain..

Saturday, July 4, 2015

Friday, July 3, 2015

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...